Jo Chala Gya Mujhe Chor Ker
Main Kabhi Na Us Ko Bhula Saka
Wohi Doorian, Wohi Faasle
Main Kabhi Na In Ko Mita Saka.
Kya Use B Mujh Se Pyar Tha
Ya Tabussum Us Ka Shuar Tha
Wo Koi Ajib Sawaal Tha
Jo Meri Samajh Mein Na Aa Saka
Meri Zindagi Ka Sakoon Tha
Wo Mere Dil Ka Ik Junoon Tha
Wo Meri Bandagi Mera Pyar Tha
Yehi Bat Na Main us ko Bta Saka
Yehi Sochta Tha Main Raat Bhar
Jo Kabhi Mile Ga wo Raah Par
To Karon Ga Us Se Shikayaitein
wo mila to lab b na hila saka
jo chla gya mujhe chor ker
main kabhi na usko bhula saka.....
No comments:
Post a Comment